Tuesday, June 23, 2020

EXCEL ME VIEW MENUE KA SARE OPTION KO USE KESE KARE ?

Freeze Panes :- Freeze Panes Ka Kam Sheet Me  Selected Area Ko Freez Karna Hota He  Ye Us Area Ko Wahi Fix Kar Deta Hai Jaha Hamne Freeze Kia Hai Is Tarah Se

Isme Do Sheet Hai Pahle Sheet Me Koi Freeze Nahi Laga Ha Usme Series Me Hai Aur Dusre Sheet Me Freeze Laga Hai Isme Upar Ke Heading Me Freeze  Laga Hai Us Area Ko Freeze Kar Dya Gaya Hai Hum Agar Scroll Bar Ko Niche Kare To Bhi Heading Hide  Nahi Hogi Jaisa Ki Dikhaya Gaya Hai

Freeze Option Three Type Se Use Kya Jata Hai Jaisa Ki Dikhaya Gaya Hai Uske Bare Me Main Apko Bataunga

Freez Panes :- Is Option Me Row Aur Column Dono Freeze Ho Jata Hai Aur Dono Fix Ho Jate Hai

Freeze Top Row :- Is Option Me Sirf Top Row Hi Freeze Hota Hai Matlab Row Hi Fix Ho Pata Hai

Freeze First Column :- Is Option Me Sirf First Column Hi Fix Ho Pata Hai

Split Option :- Is Option Me Window Ko Alag Alag Kar Dya Jata Hai Jaisa Ki  Sheet Me Dikhaya Gaya Hai

Hide Option :- Is Option Me Compelete Sheet Ko Hide Kar Dya Jata Hai

Unhide :- Is Option Se Wapas Sheet Ko Unhide Kar Dya Jata Hai Is Tarah Se

 

 Switch Window :- Is Option Me Agar Excel Ki Koi Other Files Open Ho To  Sidha Yaha Se Switch Karke Waha Pahuch Sakte Hai Jese  Ki Mere Pas Do Excel Ki File Khuli Hai Jinke Name Apko Dikhaye Gaye Hai Option Pe

 

Macro :- Macro Ye Advance Function Hai Excel Ka Ye Ghanto Ka Kam Minto Me Kar Sakta Hai Ye Step Recording Ka Kam Karta Hai Aur Uske Bad Ye Us Step Ko Follow Kar Ke Khud Hi Kam Karta Hai By Key Button  Or Short Cut  Basic Use Me Apko Bata Deta Hu Baki Apko Me Agli Bar Bataunga

Record Macro :- Step Ko Record Karne Ke Lye Pahle Record Kya Jata Hai Wo Isi Option Se Hota Hai

View Macro :-  Is Option Se Record Kye Hue Macro Ko Dekh Sakte Hai Aur Sath Hi Sath Use Kar Sakte Hai

Use Relative Reference :- Is Option Se Kai Bar Step To Follow Karta Hai Par Use Range Pe Hi Jispe Hamne Step Record Kya Hai To Is Option Ke Dwara Us Range Ko Off Karke Use Kya Jaye To Ie Problem Ko Solve Kya Ja Sakta Hai 

Ye Jankari Kesi Lagi  Comment Jarur Kijiye  Taki Isme Sudhar Bhi Kya Ja Sake 

 DOSTO YE CLASS CONTINUE JOIN KARTE RAHO AUR SABHI KO YE FREE CLASS KE BARE ME BATAO TAKI SABHI  SIKH SAKE AUR KOI PROBLEM ATI HE TO MUJHE COMMENT JARUR KARNA  (PLS πŸ™πŸ™SHARE KARNA AUR MUJHE FOLLOW JARUR KARNA )



APKA MERE PAGE PE ANE KE LYE DHANYAWAD πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™ 

LINK :- ADVANCEBANO.BLOGSPOT.COM
BY-AAKASH

 


No comments:

Post a Comment

THANKS FOR YOUR SUPPORT

Data copy paste on two another sheet with add row in google sheet by script

 function copyDataWithinWorkbook() {   var sourceSheetName = "Dashbord"; // Replace with the name of the source sheet   var target...