Tuesday, June 2, 2020

EXCEL ME HOME MENUE KE SABHI OPTION KE BARE ME SIKHO



Hi Dosto Aj Me Apko Basic Magar Kam Ki Bate Bataunga  , Kabhi Kabhi Basic Knowledge Ka Pata Na Hone Ke Karan Kam Thoda Mushkil Ho Jata Hai Chaliye Aj Me Apko Is Basic Knowledge Ki Jankari Dunga Chaliye Start Karte Hai

         Home Option Se Shuru Karte Hai

Cut :- Cut Karne Ke Bad Kab Hum Hum Paste Karenge To Cell Me Jo Hai Wo Waha Se Move Ho Jayega Aur Jaha Hum Paste Karenge Wahi Move Hoke Chala Jayega

Format Painter Ka Use :- Kisi Bhi Format Ko Same Kahi Paste Karne Hai To Iska Use Karna Hota Hai Iski Khas Baat Ye Hai Ki Yadi Ise Do Bar Lagatar Press Kare To Jaha Jaha Hum Click Krenge Waha Waha Wahi Format Bhi Paste Hota Chala Jayega

Find Option :- Kisi Bhi File Me Se Kuch Bhi Find Karna Ho To Is Function Ka Use Kya Jata Hai

Replace :- Is Function Ka Use Tab Kya Jata Hai Jab Kisi Bhi Text Ya Number Ya Kuch Ko Kisi Se Badalna Ho

Orientation :- Iska Use Tab Kya Jata Hai Jab Kisi Bhi Text Ya Number Ko Rotate Karna

Wrap Text :- Iska Use Tab Kya Jata Hai Jab Hume Kisi Bhi Text Ko Jo Column Se Bada Ho Use Ek Hi Column Me Upar Niche Karne Ke Lya Short Cut Hai (Alt+ Enter) Ka Use Karke Istemal Kya Jata Hai

Merge And Center :- Iska Use Multiple Cell Ko Ek Karke  Likhe Hue Text Ko Center Karne  Me  Use Kya Jata Hai

Merge And Across :- Iska Use Tab Kya Jata He Jab Hame Multiple   Columns  Ko Merge Karna Ho

Merge Cell :- Isme Sabhi Selected Cell Ko Ek Kya Jata Hai

Unmerge Cell :- Is Wapas Pahle Jaisa Unmerge Kya Jata Hai

Number Format :- Isme Apne Hisab Se Jo Chahiye Usme Convert Karke Dekh Sakte Hai Iski Bistar Se Jankari Dusri Class Me Dunga

Increase Decimal :- Isme Point(.) Ke Bad 0 (Zero) Badhaya Jata Hai

Decrease Decimal :- Isme Point Ke Bad Zero Ghataya Jata Hai

Format As Table :- Isme Table Ka Apne Hisab Se Design Liya Ya Banaya Jata Hai

Cell Style :- Isme Cell Ka Style Lya Ya Banaya Jata Hai

Insert Cell :- Isme Kisi Bhi Table Ke Andar Bich Me Hi Koi Bhi Cell Insert Kya Ja Sakta Hai

Insert Sheet Row :- Isme Row Ki Kisi Bhi Table Ke Bich Me Insert Kya Jaa Sakta Hai

Insert Sheet Column :- Isme Kisi Bhi Table Ke Bich Me Column Inserrt Kya Jata Hai

Insert Sheet :- Is Option Ke Dwara Hum Sheet Insert Kya Jata Hai

Delete Cell :-Isme Kisi Bhi Table Ke Bich Me Hi Cell Delete Karke Upar Niche Ke Data Ko Maintain Kya Jata Hai

Delete Sheet Row :-Isme Table Ke Bich Me Selected Row Ko Delete Kya Jata Hai

Delete Sheet Column :Isme Table Ke Bich Me Column Ko Elect Karke Delete Kya Jata Hai

Delete Cell :- Isme Selected Sheet Ko Delete Kya Jata Hai

Row Height :- Isme Row Hight Kitnj Chahiye Wo Set Kara Jata Hai

Autofit Row :Isme Row Ko Autofit Kya Jata Hai

Column Width :- Isme Column Ka Size Deke Fit Kya Jata Hai’

Auto Fit Column :Isme Column Ko Auto Fit Kya Jata Hai

Hide/Unhide :-Isme Selected  Row/Column/Sheet Use Hide Ya Unhide Kya Jata Hai

Rename Sheet :- Isme Sheet Ka Name Dya Jata Hai

Copy/Move Sheet :- Isme Same Sheet + Uska Pura Data Dusre Sheet Me Move Ya  Copy Kya Jata Hai

Tab Color :Niche Sheet Name Pe Color Dya Jata Hai

Protect Sheet :- Isme Sheet Pe Password Lagaya Jata Hai

Lock Cell :-  Isme Sheet Ke Andar Kisi Bhi Cell Pe Password Lagaya Jata Hai

Autosum/Auto Average/Auto Count :- Ye Sab Automatic Hi A Jata Ha Select Karke Is Option Ko Press Karne Ke Bad

Fill Left/Right/Down/Up :- Isme Automatic Opposite Cell Ko Lekar Selected Area Ko Fill Kya Jata Hai

Series :- Isme Automatic Serial Number Set Kya Jata Hai Automatic Hi A Jata Hai Serial No

Flash Fill :- Isme Right Side Ke Data Ka Kuch Part Lete Hai Wese Hi Sare Data Ko Select Karke Ise Use Karenge To Automatic Yahi Working   Reapit Karega

Clear Format/Hyperlink Etc :Isme Remove Kya Jata Hai Format Ho Hyperlink Ho Ya Kuch Aur Hi Ku Na

Sort And Filter :- Iska Use Data Ko Ascending Ya Descending Karne Me Kya Jata Hai

Go To :- Iska Use Direct Uspe Pahuchne Ke Lye Kya Jata Jai Jo Hum Is Pe Type Karenge Baki Iska Advance Use Agli Bar Bataunga

 Ye Main Tha Baki Agli Bar Bataunga

 


DOSTO YE CLASS CONTINUE JOIN KARTE RAHO AUR SABHI KO YE FREE CLASS KE BARE ME BATAO TAKI SABHI  SIKH SAKE AUR KOI PROBLEM ATI HE TO MUJHE COMMENT JARUR KARNA  (PLS 🙏🙏SHARE KARNA AUR MUJHE FOLLOW JARUR KARNA )


APKA MERE PAGE PE ANE KE LYE DHANYAWAD 🙏🙏🙏🙏 

LINK :- ADVANCEBANO.BLOGSPOT.COM
BY-AAKASH

 

No comments:

Post a Comment

THANKS FOR YOUR SUPPORT

Data copy paste on two another sheet with add row in google sheet by script

 function copyDataWithinWorkbook() {   var sourceSheetName = "Dashbord"; // Replace with the name of the source sheet   var target...